Likhe Jo Khat Tujhe - Mahammed Rafi Lyrics


Singer Mahammed Rafi
Singer Shankar Jaikishan
Music Shankar Jaikishan


Likhe jo khat tujhe wo teri yaad mein

Hazaron rang ke nazaare ban gaye

Likhe jo khat tujhe wo teri yaad mein

Hazaron rang ke nazaare ban gaye

Savera jab hua to phool ban gaye

Jo raat aayi to sitaare ban gaye

Likhe jo khat tujhe


Koyi naghma kahin goonja

Kaha dil ne yeh tu aayi

Kahin chatki kali koyi

Main yeh samjha tu sharmayi

Koyi kushboo kahin bikhri

Laga yeh zulf lehraayi

Likhe jo khat tujhe wo teri yaad mein

Hazaron rang ke nazaare ban gaye

Savera jab hua to phool ban gaye

Jo raat aayi to sitaare ban gaye

Likhe jo khat tujhe


Fiza rangeen, adaa rangeen

Yeh ithlana, yeh sharmana

Yeh angdayi, yeh tanhaai

Yeh tarsa kar chale jaana

Bana dega nahi kisko

Jawan jaadu yeh deewana

Likhe jo khat tujhe wo teri yaad mein

Hazaron rang ke nazaare ban gaye

Savera jab hua to phool ban gaye

Jo raat aayi to sitaare ban gaye

Likhe jo khat tujhe


Jahan tu hai, wahan main hoon

Mere dil ki tu dhadkan hai

Musafir main tu manzil hai

Main pyasa hoon tu sawan hai

Meri duniya yeh nazrein hain

Meri jannat yeh daaman hai

Likhe jo khat tujhe wo teri yaad mein

Hazaron rang ke nazaare ban gaye

Savera jab hua to phool ban gaye

Jo raat aayi to sitaare ban gaye

Likhe jo khat tujhe